बुधवार, 16 जून 2010

Himaquat

Ham he oon chand,
Jalilo me se,
Jinhone himaquat to ki,
Ishque kar ne ki,
Magar himmat e izhar,
Kar nahi paye.

Kiya tha aagaz ishque ka,
Khoob hamne bhi,
Magar afsos ke anjam tak ,
Pahuncha n paye.

Fitrat

Hamne ek bar fir se,
Wafa kar li unse,
Maloom n tha,
Bewafai unki fitrat me he.

Marham

He khamosh meri har subah,
He tanha meri har raat,
Too aa aaker mere har pal ko,
Mahfil kar de.

Tha kala mera har kal,
He andhera mera har aaj,
Too aa aaker meri jindgi ko,
Roshan kar de.

Tadap rahi he rooh meri,
Jal raha rom-rom,
Too aa aaker is dil per,
Marham kar de.

Hasrat

Kab se jinda hoo apni hasrato ko dil me samete hue,
too aa aaker meri hasrato ko mumkin kar de.

Vada karta hoo, vada karta hoo karunga wafa is kaynaat tak,
fir chahe ye jami , ye aasma mujhe ruswa kar de.

Niklegi nahi, niklegi nahi aah bhi kabhi is dil se mere,
too jo ek bar is dil pe marham kar de.

Rahmat

E Khuda bhatak gaya he tera banda
hoker anjaan raah se apni
too ise apni inaayat ki doulat baksh de
roshan kar janha ko khudai se apni
too is janha par bas itni rahmat kar de.

Iltaza

E mere malik, mere parvardigar
itni iltaza he bas tujhse,
k meri hasrato ka janaza nikalne se pahle
mera janaza nikle.